Khilauno ka name jehan me aate hi , pahli tashvir khichti hai bachho ki.. khilaune na sirf manoranjan ka jariya hote hai balki bachho ke mansik vikash me bhi inki aham bhumika hoti hai..
khaskar Indian Education System me ho rhe badlavo ke maddenajar Learn With Fun ka Concept tezi se popular ho rha hai.... yhi vajah hai ki Treditional Soft Toys ki bhi kafi mang hai... Play ke sath-sath Difirent Schools me bachho ko khilauno ke jariye hi Basik Education di ja rhi hai....
Toy Association of India ke anusaar, India me khilauno ke Market salana badhte jaa rahe hai ,.. isliye yha job ke naye avsaar generate ho rahe hai... over all yaha Future Bright hai...
Work Profile
Ek Toy Designer pahle apne Idea ko paper pr Draw karta hai,, fir uska Modal taiyaar kiya jata hai.. in dino computure software ki madad se bhi Idea ko Impliment kiya jane laga hai...Design final hone pr uske prototype ko Toy Manufacturing Company ko saupa jata hai,,
jo iska bade iscale pr nirman krti hai,,,, in dino Designers Soft and Wooden Toys,,Rimot Control Car,,Stufd Animals ke alawa Bord Games, Puzzels,, Fun Toys, Promotional,Computure,Educational games,, Mobile Apps,, Baby Products bhi taiyaar kr rahe hai
Skills And Qualification
Ek Toy Designer ko sabse pahle bachho se lagav hona jaruri hota hai.. unhe bachho ki tarah sochna padta hai aur unki sefty ka dhyaan bhi rakhna padta hai.. ek Toy Designer ka kushal Drawing Artist aur kalpanashil hona jaruri hai. unhe Market ke naye Trends ki bhi jankari honi chahiye.. agar aapne B.Tech,, BE, Graphik Designing,, Product Designing,, computer science me Graduation kiya hai to isme Career bana sakte hai..
Growing Industry
Asocham ki ek report ke anusaar 2 saal pahle tk Toy Industry me 30 lakh logo ko rojgaar mila hua tha,, jiske badhkar 50 lakh hone ki sambhavna hai.... March 2013 tk Indian Toy Industry 8000 cr rupaye ke aap paas thi ,, 30% ki dar se aage badhne ki ummid hai... isme Indian Copanies ki Market me 20% tk ki bhagedaari,,, Make in India abhiyaan ke tahat in Laghu Udyogo,,, Manufactures,, aur Tredars ko Promot kiya ja raha hai.. iske alava,, flipcart , snapdeal jaise E-Commerce Portal ne Toy Designers apne Brand ko Promot karne kanaya Platform diya hai
No comments:
Post a Comment