background:#aba; margin:0; padding:20px 10px; text-align:center; font:x-small/1.5em "Trebuchet MS",Verdana,Arial,Sans-serif; color:#333; font-size/* */:/**/small; font-size: /**/small; }

Love

Tuesday, 15 December 2015

ASAFALTA APNE AP ME EK SAFALTA HAI

                   
                      Hllw Friends

Mai AJEET SINGH aaj is blog me apni phli post daal rha hu. isme hm baat krenge ki Asafalta, kyo jaruri hoti hai,,, achha apne dekha hoga ki sabhi log hmesha success pana chahte hai
                                      


        kya kisi ne kbhi socha hai ki apka Felliyer(Asafalta) hi apko ek achhi safalta tk pahunchaye ga.. yh apko bahut ajeeb lga hoga aur lagna bhi chahiye......
                   

                   

         Bcoz fell hoke kon age badhna chahta hai sayad koi nhi. kyoki sbhi phli hi bar me succes hona chahte hai koi bhi fell nhi hona chahta to plzzz yad krle ki kisi ne kha tha ki .. "vh log jo kabhi na kabhi asafal huye hai jindgi me jyada safalta prapt krte hai" ..to mere khne ka mtlb yh hai ki asafalta se hme jindgi ko sikhne ka mauka milta hai,aur insaan adhik paripakv banta hai..
                                        
                                         



   lekin aj ki bhag daud bhari life me koi unsuccesful nhi hona chahta chahe vh koi Employe ho ya koi Student etc.,,,,aur hona bhi yhi chahiye kyoki apka kisi bhi field me pichhadna mtlb hazaro logo se pichhe jana, isiliye log hmesha success pana chahte hai aur isi kashmakash me vh kam hi krte rhte hai jo un ki hobby nhi hai,, fir bhi kuch nya krne se darte hai aur poori jindgi vhi proffesion bnaye rhte hai jisme unhe koi achhi feellings nhi milti keval ek gadhe ki trh kam krte rhte hai,, to plz ap asafalta se dariye nhi use svikariye aur usse sikhiye aur jo tumhe pasand ho kr daliye asafal hone se mt dare keval ek kadam badha,,,,, khi maine adha tha kisi ne ek achhi baat khi thi
                            
                                    



   "JO GALTI NHI KARTE VO KABHI KUCH NYA NHI KRTE"




          
                            
                            



     Ab ap sochiye ki bachpan me ap kya banna chahte the ,ap apne future ko kaisa dekhte the like-- IAS Officer,, Engineer etc.. aisa kuch bhi lekin ab kya kr rhe hai yh sb apke asafal hone ke dar ke karan ho rha,, hme bachpan se hi books ke bojh se dab diya jata hai aur jyadatar parents yhi sikhate hai tum fail ho jaoge, din bhar padhai kro etcc... mtlb hme bachpan se hi darna sikha diya jata hai aur sikhaya jata hai ki asasfal hona buri baat hai...
 
                               




   Mai yha pr great scientist stifenn hokings ka example btana chahunga..... jb vo chhote the tb log unhe Einstine khte the aur ve jb 21 years ke huye tb unke body ke kuch parts n kisi ajeeb bimari ke shikar ho gye aur vo lagbhag parallyse se ho gye the lekin unhone himmat nhi hari aur apne scientist life ko badhate rhe,,,,,
                
                  






 doctors ne kha ki vo ab jyada se jyada 2-3 years aur jinda rhenge lekin hokings ne himmat nhi hari uska natija yh nikla ki ab vo 70 years old ho gye hai aur abhi bhi apni jindgi achhe se jee rhe hai... ab hme inse kuch sikhna chahiye aur apni asafalta ke dar ko hatakar jo apka dil chahe vh kam kre aur ek lambi udan bhare....
                                                                    


                       DHANYA WAD

No comments:

Post a Comment