SAFALTA kabhi achanak nahi ati, ise pane ke liye Struggle karne padta hai.. agar aap life me success pana chahte hai to iske liye kuch important points par apko gaur karna tatha unko apni lige me importance dena padega
1- Sapne (Dreams)
sapne(dreams) aur jarurte hi apko kisi bhi kam ko karne ke liye prerit karte hai, jab tak apke samne sapne(dreams) yaa jaroorat nahi honge, tab tak aap koi bhi kam shiddat se nahi karenge.. sapne(dreams) apke likhe hone chahiye aur aapki diwar pr chipke hone chahiye, taki aap har time aate-jaate,, uthte-baithte unko dekh sake.., is duniya me jo kuch naya bana hai, vah kisi na kisi ka sapna(dream) raha hoga.. isliye sapne dekhe, unhe pahchane aur fir unhe kagaj pr likhe.. isse aap unke prati sajag rahege..
2- Lakshya (Target)
sapno(dreams) ke baad dusra kadam hota hai LAKSHYA(TARGET).. jab tak target nirdharit nahi hoga, tab tak apke dreams keval dreams bankar hi rah jayege.. jaise football player ball ko lekar bhag raha hai lekin jaise hi vah pair uthata hai ball ko marne ke liye, to dekhta hai ki goal post hi nhi hai to vah kha marega.. isliye Lakshya(target) banaye aur pratyek week usko reright karte rahe.. isse kam karne me maza bhi ayega aur success bhi jaldi milegi...
Yh bhi padhe== Asafalta Apne Ap Me Ek Safalta Hai
3- Yojna (Plan)
kamyabi ke mukam tak pahunchne ki shuruat plan se hoti hai.. agar apne decide kiya hai ki mujhe Doctor, Engineer, yaa businessman banna hai to uske liye sabse pahle planning kare,, isse apko pata rahega ki abhi kitna kam karna baki hai.. planning karke kam karne se apka time aur mehnat(hard work) dono bachege
4- Vishvas (Trust)
apko khud par vishvas hona chahiye ki jo bhi aap kam karne jaa rahe hai, use kar payenge.. yadi apko self confidence nhi hoga to aap vh kam kabhi bhi nhi kar payenge.. jyadatar logo ko khud par vishvas hi nhi hota aur ve kam start kr dete hai.. fir baad me unhe lagta hai ki vah nhi kar payenge aur bich me hi chhod dete hai.. isliye khud pr vishvas(trust) hona bahut jaroori hai.. vishvas hoga, tabhi aap kam kr payenge aur successful ban payenge..
5- Karya (Work)
achha aap socho ki apke dream hai, goal hai, planning hai aur vishvas bhi hai lekin aap us par kam hi na kare to kya apke sapne aur jaroorte poori hongi.. isliye apne lakshya ke anusaar kadam badhaye, kyoki lakshya aur kamyaabi hasil karne ke liye yh bahut jaruri hai ki aap uske anuroop hi kaam kre.. kai baar aisa hota hai ki ham bahut jyada hardwork karte hai lekin disha sahi na hone ke karan apne lakshya tak jaldi nahi pahunch pate.. aise me yh aur bhi jaroori ho jata hai ki hamari sonch aur hamare karm me ekroopta ho...
To bhaiyo aap jis success ko paane ka dream aap daily dekhte hai use hasil karne ke liye jaroori kadmo ko ek jagah note kre aur ek ke bad ek seedhiya chadhe.. aap khud ko hr din apne manjil ke kareeb ata hua payenge...
upar jitni bhi baate likhi gayi hai unhe bahut great logo ki life se, unke anubhavo se nikalkar yaha tak pahunchaya gaya hai so plz aap inko apni life me jaroor use kare aur agar apko kuch poonchna ho to plz comment me mujhe bataye
No comments:
Post a Comment