Faisla Aap Ko Krna Hai
Is duniya me sirf ek hi insaan hai, jiski Raay apke liye mayne rakhti hai aur vh hai __ AAP ..yh apki jindgi hai aur dusre kya sochenge agar aap isse upset honge to isse apki raah me roda bn jayega..
Asvikriti Ke Dar Se Nikle
jb hm is baat ki bahut jyaada parvaah krte hai ki log kya sochenge, to samanytah yh hamare thukraye jaane ke dar ko darshata hai.. agar hm unhe Niraash krenge to vh hme chhod denge,, PYAR nhi krenge.. jo sach maine apne anubhav se jaana hai, vh yh hai ki jb aap is baat ki parvaah krna chhod dete hai ki log kya sonchege. to ve apka phle se jyada samman kerne lgte hai..
Khud Ko Thoda Samay(time) De
dusro ki parvaah krna aap chhod de,, yh krne me thoda time lgega lekin dheere-dheere yh aap bakhubi kr payenge.. yh baat khud ko baar-baar yad dilate rhe ki logo ka dhyan dusro ki bajay khud pr jyada hota hai
Galtiyo Ko Gale Lagaye
jb hm ASAFALTA(UNSUCCESS) ho jate hai ya sarvjanik bhul karte hai,, to hme lagta hai ki poori duniya ki nigaahe hme bhed rhi hai... kya ASAFALTA ko lekar aap naya najariyaa apna sakte hai??sabse phle yh samajhiye ki hr koi ASAFAL hota hai.. yh ek sarvbhaum anubhav hai.. agar aap ise samajh jaate hai to yh dekh sakte hai ki ASAFALTA kis tarah apko kuch sikhati hai,, majboot banati hai.. naya raasta dikhati hai..
Apni Khoobiyo Ko Yaad Kijiye
hm sabki adat hoti hai, apni khamiyo pr jyada focuse karne ki,, lekin hamme achhaiyaa kahi jyaada hoti haijinhe hm sveekar nhi krte.. to abhi KAGAJ aur kalam lijiye aur apni khubiyo aur aap jo achha krte hai uski soochi banaiye.. usme hr chhoti badi uplabdhi likhe.. isse apko pata chalega ki hm aap bhi bahut achhe ho aur vh sab kuch kr sakte ho jo aap krna chahte ho
Antrik badlao, dusro ki baat ki parvaah krne ki adat chhutne me samay lagta hai.. abhyaas krna padta hai.. aap khud ko jitnadusro ki Raay se alag krte jayenge,, apka MASHTISK( MIND) utna hi visvaas bhare faisle lene ka abhyast ho jayega
DHANYA WAD
Agar ako yh post achhi lagi ho plz share kre aur agar apke paas koi nayi jankari ho plz share kre ajeetsinghnetid@gmail.com me
No comments:
Post a Comment