background:#aba; margin:0; padding:20px 10px; text-align:center; font:x-small/1.5em "Trebuchet MS",Verdana,Arial,Sans-serif; color:#333; font-size/* */:/**/small; font-size: /**/small; }

Love

Friday, 26 February 2016

Alochnao(criticism) Se Na Ghabaraye --:::






Darasal alochnao(criticism) ko jhelne ki khubi apko mansik taor pr majboot banati hai.. yadi apke ander yh gud(quality) nhi hai to aap apni mansic majbooti yani mental tufness kho denge aur apki chamta(capacity) aur urjaa(energy) bhi km ho jayegi.. aise me apke liye apne kam me apna 100% de pana mushkil ho jayega.. yh sthiti(situation) career ke lihaj se ghatak hogi.. isliye khud ke andar alochnao(criticism) ko jhelne ka hunar viksit kre,, jiske liye kuch baato pr dhyaan dena jaroori hai,,.....




                                                 Alochnao(Criticism) ko muskurakar le


 
yadi koi apke samne hi apki alochna karta hai to us par apni narajgi na jataye,, balki aap yh dikhaye ki aap pr iska koi asar nhi hua aur aap bilkul normal hai.. aap un alochnao ko muskurakar talne ki koshish kre dhyan de ki apke office,school, yaa colllege me aapke samarthak aur viridhi samooh hote hai,, isliye apke hr achhe kary pr apko prasansa to milegi,, lekin apka virodhi group apki alochna bhi krega.. aise me bevajah  ki jane wali alochnao ko ek muskurahat ke sath najar andaj krna hi behtar hoga



                                               
       Alochna Ka possitive point dhundhe



yadi kisi kary ke liye apki prasansa(praise)  aur alochna(criticism) dono ho rahi hai to alochna ka sakaratmak(possitive) point bhi dhundhne ka prayas kre... yadi kisi bhi prakar se apko lagta hai ki alochna me dam hai to use sakaratmak roop me le aur koshish kre ki agli baar apke apke kam me vh kami na rahe ,, jiske liye apki alochna ki gyi hai.. yh apke personality ko aur bhi akarsak aur prabhavsaali banayega


                                         
    Nervous Na Ho ----- Don't be nervous




virodhi group apke achhe kam ki bhi alochna kr aap pr dabav banane ki koshish karega,, taki aap nervous ho jaye aur apke kam par iska nigative iffect pade.. student life me to kai baar aap aisi baato ka samna karenge..agar aap medhavi hai to ho sakta hai ki apka koi friend bevajah apki alochna kare,,taki aap nervous ho jaye aur iska apki study pr asar pade..office me bhi kuch log isi maksad se alochna karte hai,,isliye alochnao ke samne patience khone se achha hai ki aap unko face kre..kisi bhi haal me aap nervous na ho..


                                           


   Khud Auro Ki Alochna Na Kare




hame apni alochna buri lagti hai to hame dusro ki alochna karne se bhi bachna chahiye.. dhyan rahe ki dusro ki bevajah alochana hamari image ko hi dhumil karti hai aur hamare khilaf ek nigative mahol taiyaar hota hai..aise me log hamare sath ghulna milna pasand nahi karenge,, jo career ke lihaj se ghatak hoga


                                
        Sakaratmak Alochna Sveekare                       (Take Possitive Criticism)



kai baar apki alochna ki vajah sahi hoti hai..aise alochak apki alochna apki ninda ke liye nahi,,balki apki bahtari ke liye karte hai..apko aise alochako ko pahchan karna sikhna hoga aur inki sakaratmak alochnao ko sabke samne khul kar sveekar karna hoga...isse auro ki najar me apki image aur bhi behtar hogi aur apke liye ek sakaratmak mahol taiyaar hoga


   

 In sabhi baato par ek baar gaur kare aur ho sake to dheere dheere inhe apni life me envolv karna sikhe....
            

No comments:

Post a Comment