Aaj jab baithta hu apne bageeche me,
yad aane lagti hai bachpan ki,
yad aane lagti hai bachpan ki,
wo chidiyon ka chahchahaana,
hawaavo ka sarsarana,
aawaje bhawro k gungunane ki
titli ke pankho k phadpdhane ki,
to phir yaad aane lagti hai bachapan ki.
Bachpan me na to Bhavishya ka Bhay tha
Na hi bhoot ka paschataap, Har pal gujrata tha khusi se,
Bas yhi kahaani hai mere bachapan ki;
Tab aasman me udne ki baaten,
kisse kahaniyo me gujarati thi raaten,
Bas yhi kahaani hai mere bachapan ki;
Tab aasman me udne ki baaten,
kisse kahaniyo me gujarati thi raaten,
Pitaji k kandhho me baithkar ghumne jana,
aur maa ka raat me loriyan sunana
aur maa ka raat me loriyan sunana
Pitaji k daantne par maa k pichhe chhupna,
aur baarish me chupke se bheegna,
aur baarish me chupke se bheegna,
Wo aadte hamesha school pahle pahuchne ki,
bas yhi dharohar hai mere bachpan ki;
bas yhi dharohar hai mere bachpan ki;
Bachpan ek khuli kitaab tha,
Na hi khushiyon ka usme hisaab tha,
Na hi khushiyon ka usme hisaab tha,
Log aaj kaam karne se darr rhe,
tab hammre man me kuchh krne ka khwab tha;
tab hammre man me kuchh krne ka khwab tha;
aaj aage badhne ki hod me,
jrurt nhi samjhte apno ki
tab hmari logo se guthi mala thi,
bas yhi jeet hai mere bachpan ki,;
"PHIR YAAD AANE LAGTI HAI MERE BACHPAN KI".....
THANK YOU
_____ Ajeet Singh
THANK YOU
_____ Ajeet Singh
No comments:
Post a Comment